Toot-te khwabon ka safar : Shruwat

 📖 Toot-te Khwabon Ka Safar

Chapter 1 – Naye Shuruaat, Naye Zakham


Do saal ka woh lamba intezaar aakhirkaar khatam ho chuka tha. Lockdown ke baad, aaj Haya phir se apne school ke gate par khadi thi. Dil mein ajeeb si ghabrahat thi—khushi bhi, darr bhi. Bahar ki duniya waise hi thi, par andar sab kuch badal chuka tha.Doston ke ishaare use bulane lage, par Haya ke kadam zameen se chipak gaye the. Kuch pal ki jhijhak ke baad, usne apna pehla kadam school ke andar rakha. Har kona, har diwar use apna sa lag raha tha. Jaise beete waqt ki yaadein dobara zinda ho gayi ho.


Classroom mein ab pehle jaisa mahaul nahi tha. Sirf paanch ladkiyan reh gayi thi, baaki sab ladke the. Lockdown ke dauran kai students transfer ho gaye the. Haya ke hi class mein uska cousin, Farhan, bhi tha—halanki umar mein usse bada tha.Shuruaat ke kuch din ajeeb the, par dheere-dheere sab ek doosre se ghul-mil gaye. Hansi-mazaak, khelna, padhna aur chhoti-moti shararat, ye sab phir se zindagi ka hissa ban gaye.


Magar ek dusri kahani bhi chal rahi thi—ek aisi kahani jo sirf mazaak ke naam par shuru hui thi. Farhan ne Haya ki dost Aleena ko yeh yaqeen dilaya ki woh usse mohabbat karta hai. Aur dekhte hi dekhte dono ek “relationship” mein aa gaye.


Phir sab kuch badalne laga. Zoya aur Aleena ne Haya se doori banani shuru kar di. Jab Haya poochhti, toh bas khamoshi aur bahane milte. Dheere-dheere Haya ko mehsoos hua jaise woh apni hi doston ke beech ek anjaan insaan ban gayi ho.Aur phir ek din sachai saamne aayi. Pata chala ki Farhan ke liye yeh sab bas ek prank tha. Woh Aleena ke jazbaat se khel raha tha, aur Zoya—jo sab kuch jaanti thi—chup rahi. Sirf isliye kyunki Farhan ne mana kiya tha.


Jab yeh sach Aleena ke saamne aaya, uska dil toota. Farhan sabke saamne hans kar ‘sorry’ bolta raha, par uske lafz khali the. Aleena khamosh thi, sirf aansuon mein doobhi hui.


Haya ne dosti nibhaai. Dheere-dheere Aleena ko sambhala, use phir se baaton mein laya. Par sab kuch pehle jaisa nahi tha. Zoya bhi maafi maangti rahi, lekin zakhm itna gehra tha ki bharna mushkil tha.Samay ke saath Haya ladkon ki dost ban gayi. Har din khelna, hansi-mazaak karna uske liye ek nayi roshni ban gaya tha. Par phir...


Ek din Farhan uske seat par aaya aur kaha—

"Tum ladkon se baat mat kiya karo."


Haya ne hairani se poocha, "Kyun?"


Farhan ka jawab tha, "Bas mat karo."


Haya ne usse samjhane ki koshish ki, par Farhan ne sabke saamne keh diya—

"Aaj se koi bhi Haya se baat nahi karega."


Aur us pal, Haya ne mehsoos kiya jaise uski zindagi mein ek aur toofan khada ho gaya ho...


👉 “Aapko Chapter 1 kaisa laga? Comment me zarur batayein, taki main Chapter 2 likhne me aur motivation paun.”

Comments