Posts

Toot-te khwabon ka safar : Shruwat

 ðŸ“– Toot-te Khwabon Ka Safar Chapter 1 – Naye Shuruaat, Naye Zakham Do saal ka woh lamba intezaar aakhirkaar khatam ho chuka tha. Lockdown ke baad, aaj Haya phir se apne school ke gate par khadi thi. Dil mein ajeeb si ghabrahat thi—khushi bhi, darr bhi. Bahar ki duniya waise hi thi, par andar sab kuch badal chuka tha.Doston ke ishaare use bulane lage, par Haya ke kadam zameen se chipak gaye the. Kuch pal ki jhijhak ke baad, usne apna pehla kadam school ke andar rakha. Har kona, har diwar use apna sa lag raha tha. Jaise beete waqt ki yaadein dobara zinda ho gayi ho. Classroom mein ab pehle jaisa mahaul nahi tha. Sirf paanch ladkiyan reh gayi thi, baaki sab ladke the. Lockdown ke dauran kai students transfer ho gaye the. Haya ke hi class mein uska cousin, Farhan, bhi tha—halanki umar mein usse bada tha.Shuruaat ke kuch din ajeeb the, par dheere-dheere sab ek doosre se ghul-mil gaye. Hansi-mazaak, khelna, padhna aur chhoti-moti shararat, ye sab phir se zindagi ka hissa ban gaye. Magar...